Nasty Santaa <---> Sanat Satyan <---> Tasty Ananas <--> A Nasty Satan <--> As a Nasty Ant <-> Tasty as a Nan <---> Stay as an ant <-> A Nasty Santa <--> Stays at Anna

Monday, December 01, 2008

Is baar nahin

Is baar jab woh choti si bachchi mere paas apni kharonch le kar aayegi
Main usey phoo phoo kar nahin behlaoonga
Panapney doonga uski tees ko
Is baar nahin

Is baar jab main chehron par dard likha dekhoonga
Nahin gaoonga geet peeda bhula dene wale
Dard ko risney doonga,utarney doonga andar gehrey
Is baar nahin

Is baar main na marham lagaoonga
Na hi uthaoonga rui ke phahey
Aur na hi kahoonga ki tum aankein band karlo,gardan udhar kar lo main dawa lagata hoon
Dekhney doonga sabko hum sabko khuley nangey ghaav
Is baar nahin

Is baar jab uljhaney dekhoonga,chatpatahat dekhoonga
Nahin daudoonga uljhee door lapetney
Uljhaney doonga jab tak ulajh sake
Is baar nahin

Is baar karm ka hawala de kar nahin uthaoonga auzaar
Nahin karoonga phir se ek nayee shuruaat
Nahin banoonga misaal ek karmyogi ki
Nahin aaney doonga zindagi ko aasani se patri par
Utarney doonga usey keechad main,tedhey medhey raston pe
Nahin sookhney doonga deewaron par laga khoon
Halka nahin padney doonga uska rang
Is baar nahin banney doonga usey itna laachaar
Ki paan ki peek aur khoon ka fark hi khatm ho jaye
Is baar nahin

Is baar ghawon ko dekhna hai
Gaur se
Thoda lambe wakt tak
Kuch faisley
Aur uskey baad hausley
Kahin toh shuruat karni hi hogi
Is baar yahi tay kiya hai

... Prasoon Joshi

No comments:

How i wish ... How i wish you were here ...


Wish you were here...

Me, Myself & ...

Mumbai, Maharashtra, India